Safi Lakhnavi

talib-e-did pe aanch aae ye manzur nahin

Safi Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1862-1950
tālib-e-dīd pe aañch aa.e ye manzūr nahīñ
dil meñ hai varna vo bijlī jo sar-e-tūr nahīñ
dil se nazdīk haiñ āñkhoñ se bhī kuchh duur nahīñ
magar is pe bhī mulāqāt unheñ manzūr nahīñ
ham ko parvāna o bulbul kī raqābat se ġharaz
gul meñ vo rañg nahīñ sham.a meñ vo nuur nahīñ
ḳhalvat-e-dil na sahī kūcha-e-shahrag hī sahī
paas rah kar na sahī aap se kuchh duur nahīñ
zauq-e-pāband-e-vafā kyuuñ rahe mahrūm-e-jafā
ishq majbūr sahī husn to majbūr nahīñ
tābish-e-husn ne jab Daal diye hoñ parde
mumkin āñkhoñ se ilāj-e-dil-e-ranjūr nahīñ
laao mai-ḳhāne hī meñ kaaT na deñ itnī raat
masjideñ ho ga.iiñ māmūr ye māmūr nahīñ
chheḌ de sāz-e-anal-haq jo dobāra sar-e-dār
bazm-e-rindāñ meñ ab aisā koī mansūr nahīñ
kabhī kaise ho 'safī' pūchh to letā koī
dil-dahī kā magar is shahr meñ dastūr nahīñ
Top Urdushayar.com