dard-e-āġhāz-e-mohabbat kā ab anjām nahīñ
zindagī kyā hai agar maut kā paiġhām nahīñ
kījiye ġhaur to har lazzat-e-duniyā hai fareb
kaun daana hai yahāñ par jo tah-e-dām nahīñ
hai tanazzul ki zamāne ne taraqqī kī hai
kufr vo kufr ab islām vo islām nahīñ
kaun āzād nahīñ halqa-bagoshoñ meñ tire
naqsh kis dil ke nagīne pe tirā naam nahīñ
nā-rasīda hai tirā meva-e-jannat zāhid
puḳhta maġhzoñ ko talāsh-e-samr-e-ḳhām nahīñ
yahī jannat hai jo hāsil ho sukūn-e-ḳhātir
aur dozaḳh yahī duniyā agar ārām nahīñ
sher-goī ke liye bas vahī mauzūñ hai 'safī'
jis ko juz fikr-e-suḳhan aur koī kaam nahīñ