koī ābād manzil ham jo vīrāñ dekh lete haiñ
ba-hasrat sū-e-charḳh-e-fitna-sāmāñ dekh lete haiñ
nazar husn āshnā Thahrī vo ḳhalvat ho ki jalvat ho
jab āñkheñ band kiiñ tasvīr-e-jānāñ dekh lete haiñ
shab-e-vāda hamesha se yahī māmūl hai apnā
sahar tak rāh-e-shoḳh-e-sust-paimāñ dekh lete haiñ
ḳhudā ne dī haiñ jin raushan-diloñ ko dūr-bīñ nazreñ
savād-e-kufr meñ vo nūr-e-īmāñ dekh lete haiñ
dil-e-betāb kā isrār maane sharm-e-rusvā.ī
bachā kar sab kī nazreñ sū-e-jānāñ dekh lete haiñ
vo ḳhud sar se qadam tak Duub jaate haiñ pasīne meñ
bharī mahfil meñ jo un ko pashīmāñ dekh lete haiñ
Tapak paḌte haiñ shabnam kī tarah be-iḳhtiyār aañsū
chaman meñ jab kabhī gul-hā-e-ḳhandāñ dekh lete haiñ
nigāh-e-nāz kī mastāna ye nishtar-zanī kaisī
ba-vaqt-e-fisd ragzan bhī rag-e-jāñ dekh lete haiñ
asīrān-e-sitam ke pāsbānoñ par haiñ tākīdeñ
badalte haiñ jo pahrā qufl-e-zindāñ dekh lete haiñ
'safī' rahte haiñ jaan o dil fidā karne pe āmāda
magar us vaqt jab insāñ ko insāñ dekh lete haiñ