Safi Lakhnavi

paigham zindagi ne diya maut ka mujhe

Safi Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1862-1950
paiġhām zindagī ne diyā maut kā mujhe
marne ke intizār meñ jiinā paḌā mujhe
is inqalāb kī bhī koī had hai dosto
nā-āshnā samajhte haiñ ab āshnā mujhe
kashtī pahuñch sakegī ye tā sāhil-e-murād
dhokā na de ḳhudā ke liye nā ḳhudā mujhe
vo tūl-e-umr jis meñ na ho lutf-e-zindagī
mil jaa.e misl-e-ḳhizr to kyā fā.eda mujhe
duuñ terā saath umr-e-ravāñ kis tarīq se
āñkheñ dikhā rahe haiñ tire naqsh pā mujhe
taḳhlīq-e-kā.enāt ko sochā kiyā magar
kuchh ibtidā milī na 'safī' intihā mujhe
Top Urdushayar.com