vo aalam hai ki muñh phere hue aalam nikaltā hai
shab-e-furqat ke ġham jhele huoñ kā dam nikaltā hai
ilāhī ḳhair ho uljhan pe uljhan baḌhtī jaatī hai
na merā dam na un ke gesuoñ kā ḳham nikaltā hai
qayāmat hī na ho jaa.e jo parde se nikal aao
tumhāre muñh chhupāne meñ to ye aalam nikaltā hai
shikast-e-rañg-e-ruḳh ā.ina-e-be-tābī-e-dil hai
zarā dekho to kyuuñ kar ġham-zadoñ kā dam nikaltā hai
nigāh-e-iltifāt-e-mehr aur andāz-e-dil-jūī
magar ik pahlū-e-betābī-e-shabnam nikaltā hai
'safī' kushta huuñ nā-pursāniyoñ kā ahl-e-ālam kī
ye dekhūñ kaun merā sāhab-e-mātam nikaltā hai