bhuul jaa.eñ ham use aisā nazāra to nahīñ
yaad par aatā rahe ye bhī gavāra to nahīñ
dil dhaḌaktā hai dhaḌaktā hai dhaḌaktā hai mirā
vo tumhārā vo tumhārā vo tumhārā to nahīñ
āj-kal patthar uThā kar sochtā hai har koī
sāmne insān hai lekin hamārā to nahīñ
ḳhvāb kitne shaad haiñ aur raat bhī ābād hai
jaag kar maiñ ne hī ḳhud un ko sañvārā to nahīñ
baat baḌhne ke liye maiñ kis qadar be-tāb hoñ
aur baḌhāne kī taraf terā ishāra to nahīñ
haar jaane meñ mazā hai tum se gar ho sāmnā
jītnā vaise 'alaḳh' ko nāgavārā to nahīñ