ye mumkin hai ki yuuñ ham ne tumheñ aksar rulāyā ho
magar ye bhī to hai tum ne hameñ aksar satāyā ho
bigaḌtī baat hai jab jab mujhe yuuñ kostī ho tum
ki jaise zindagī kā har sitam mujh se hī paayā ho
har ik golī tamanche se nikal kar sochtī hogī
agar lenī hī haiñ jāneñ to kyoñ apnā parāyā ho
hamāre qabr par aksar sulagtī dhuup rahtī hai
jo zinda the to chāhā thā tirī zulfoñ kā saaya ho
tirī āñkhoñ kī vus.at meñ bharī ho kahkashāñ shāyad
tirī nāzuk sī palkoñ ne falak shāyad uThāyā ho
hamārī ḳhaak uḌ kar shāḳh se kartī hai sargoshī
uThā lo phuul ye shāyad havā ne hī girāyā ho
mulāqāteñ to hotī haiñ magar puurī nahīñ hotī
ki jaise niiñd meñ gahrī adhūrā ḳhvāb aayā ho
huī hai aaj be-parda tirī ye be-ruḳhī kuchh yuuñ
mire hālāt ne ruḳh se tire parda haTāyā ho
lipaT kar aag se dekho 'alaḳh' kī laash jaltī hai
kisī hamdard ne aa kar jo siine se lagāyā ho