ishq karte haiñ to ahl-e-ishq yuuñ saudā kareñ
hosh kā sarmāya nazr-e-husn-e-be-parvā kareñ
ham na hoñ lekin zamāne meñ hamārā naam ho
aisī hastī chāhiye to mar ke ham paidā kareñ
hai ḳhud-ārā.ī kisī kī shān-e-ḳhuddārī ke saath
yaanī un ko ham na dekheñ vo hameñ dekhā kareñ
dars-e-irfāñ ke liye har zarra hai tūr-e-kalīm
dekhne vaale magar pahle nazar paidā kareñ
sheḳh ko jannat mubārak ham ko dozaḳh hai qubūl
fikr-e-uqbā vo kareñ ham ḳhidamt-e-duniyā kareñ
ek dil hai ek hasrat ek ham haiñ ek tum
itne ġham kam haiñ jo koī aur ġham paidā kareñ
'ahsan'-e-ranjūr ko duniyā se kyā hai vāsta
aap ne bīmār Daalā aap hī achchhā kareñ