nazzāra jo hotā hai lab-e-bām tumhārā
duniyā meñ uchhaltā hai bahut naam tumhārā
darbāñ hai na hai ġhair-e-bad-anjām tumhārā
kaam aa.egā āḳhir yahī nākām tumhārā
dushnām suno de ke dil ai husn-parastoñ
ye kaam tumhārā hai vo in.aam tumhārā
āġhāz-e-mohabbat hai ho ḳhush hazrat-e-dil kyā
achchhā nazar aatā nahīñ anjām tumhārā
'ahsan' kī tabī.at se abhī tum nahīñ vāqif
hai dil se duā-go sahar o shaam tumhārā