sāqī-o-vā.iz meñ zid hai bāda-kash chakkar meñ hai
tū ba-lab pur aur lab Duubā huā sāġhar meñ hai
rok le ai zabt jo aañsū ki chashm-e-tar meñ hai
kuchh nahīñ bigḌā hai ab tak ghar kī daulat ghar meñ hai
dab gayā thā mere marne se jo ai mahshar-ḳhirām
kyā vahī ḳhvābīda-fitna sūrat-e-mahshar meñ hai
jis ko tū chāhe jilā de jis ko chāhe maar de
vo bhī terī baat meñ ye bhī tirī Thokar meñ hai
dil ke miT jaane se josh-e-ishq ghaT saktā hai kyā
dil se kyā matlab ki ye saudā to mere sar meñ hai
māntā hai āstāñ ko tere ka.aba aur kaun
ye hamārā hī nishān-e-sajda sañg-e-dar meñ hai
'ahsan'-e-āvāra-qismat kī na pūchho gardisheñ
apne ghar baiThā huā taqdīr ke chakkar meñ hai