mujhe ḳhabar nahīñ ġham kyā hai aur ḳhushī kyā hai
ye zindagī kī hai sūrat to zindagī kyā hai
fuġhāñ to ishq kī ik mashq-e-ibtidā.ī hai
abhī to aur baḌhegī ye lai abhī kyā hai
tamām umr isī rañj meñ tamām huī
kabhī ye tum ne na pūchā tirī ḳhushī kyā hai
tum apne ho to nahīñ ġham kisī muḳhālif kā
zamāna kyā hai falak kyā hai mudda.ī kyā hai
salāh-e-kār banāyā hai maslahat se use
vagarna nāseh-e-nādāñ kī dostī kyā hai
diloñ ko khīñch rahī hai kisī kī mast nigāh
ye dilkashī hai to phir uzr-e-mai-kashī kyā hai
mazāq ishq ko samjhoge yuuñ na tum nāseh
lagā ke dil kahīñ dekho ye dil-lagī kyā hai
vo raat din nahīñ milte to zid na kar 'ahsan'
kabhī kabhī kī mulāqāt bhī burī kyā hai