chāhiye ishq meñ is tarah fanā ho jaanā
jis tarah aañkh uThe mahv-e-adā ho jaanā
kisī māshūq kā āshiq se ḳhafā ho jaanā
ruuh kā jism se goyā hai judā ho jaanā
maut hī aap ke bīmār kī qismat meñ na thī
varna kab zahr kā mumkin thā davā ho jaanā
apne pahlū meñ tujhe dekh ke hairat hai mujhe
ḳharq-e-ādat hai tirā vaada vafā ho jaanā
vaq.at-e-ishq kahāñ jab ye talavvun ho vahāñ
kabhī raazī kabhī āshiq se ḳhafā ho jaanā
jab mulāqāt huī tum se to takrār huī
aise milne se to behtar hai judā ho jaanā
chheḌ kuchh ho ki na ho baat huī ho ki na ho
baiThe baiThe unheñ aatā hai ḳhafā ho jaanā
mujh se phir jaa.e jo duniyā to balā se phir jaa.e
tū na ai aah zamāne kī havā ho jaanā
'ahsan' achchhā hai rahe māl-e-arab pesh-e-arab
de ke dil tum na giraftār-e-balā ho jaanā