ik nazar meñ dard kho denā dil-e-bīmār kā
ye to adnā sā karishma hai nigāh-e-yār kā
ġhair mumkin hai ki ho pāmāl koī hashr meñ
ho na jab tak kuchh ishāra aap kī raftār kā
hazrat-e-ādam se tā iiñ dam hue sab ishq dost
hai azal se daur daura husn kī sarkār kā
ham jo mar kar jī uThe is par ta.ajjub kyā ki hai
vo karāmat chaal kī ye mojaza guftār kā
aap ke ġhamze uThā.ūñ ġhair ke taane sunūñ
banda parvar maiñ ne chhoḌā ishq bhī sarkār kā
ābloñ ko sar uThāne kī zarā mohlat nahīñ
hai karam sahrā-navardī meñ ye nok-e-ḳhār kā
is se baḌh kar aap 'ahsan' chāhte haiñ aur kyā
dostoñ kī daad hai goyā sila ash.ār kā