bāham jo husn o ishq meñ yārāna ho gayā
koī parī banā koī dīvāna ho gayā
itnī sī baat par ki huī sham.a be-hijāb
tayyār jaan dene ko parvāna ho gayā
tañg aa gayā huuñ vusat-e-mafhūm-e-ishq se
niklā jo harf muñh se vo afsāna ho gayā
har dil meñ yaad ban ke chhupe haiñ butān-e-ishq
allāh terā ghar bhī sanam-ḳhāna ho gayā
fāriġh takallufāt se haiñ rind-e-be-riyā
chullū hī un ke vāste paimāna ho gayā
tafsīl apne jaur-o-sitam kī na pūchhiye
kyā kyā na aap ne kiyā kyā kyā na ho gayā
dekhī hai jab se aañkh kisī kī phirī huī
aalam mirī nigāh meñ begāna ho gayā
ḳhush huuñ ki ho rahā hai ye irshād le ke dil
'ahsan' qubūl terā ye nazrāna ho gayā