so hashr meñ liye dil-e-hasrat ma.aab meñ
ābād ho rahā huuñ jahān-e-ḳharāb meñ
ham apnī be-qarāri-e-dil se haiñ be-qarār
āmezish-e-sukūñ hai is iztirāb meñ
ab sair-e-gul kahāñ dil-e-rañgīñ nazar kahāñ
ik ḳhvāb thā jo dekh liyā thā shabāb meñ
baḌh baḌh ke chhup rahe haiñ pas parda baar baar
kyā kyā takallufāt haiñ tark-e-hijāb meñ
'ahsan' dil un ko do magar itnā to pūchh lo
lete ho tum ye naqd raqam kis hisāb meñ