apne hisse kī anā duuñ to anā duuñ kis ko
apnī nazroñ se girā duuñ to girā duuñ kis ko
zindagī kā ye mirī kaun hai qātil jaane
maiñ huuñ mushkil meñ sazā duuñ to sazā duuñ kis ko
dostī meñ bhī hai ranjish kī kahānī ki mirī
is kahānī ko batā duuñ to batā duuñ kis ko
muddatoñ se haiñ milī Thokareñ mujh ko jo yahāñ
ishq-bāzī meñ vafā duuñ to vafā duuñ kis ko
vaar sab piiTh pe karte haiñ yuuñ dil meñ rah kar
tū batā de maiñ duā duuñ to duā duuñ kis ko
baat kartī hī nahīñ ab to ye tanhā.ī bhī
man kī har baat sunā duuñ to sunā duuñ kis ko
har koī juujh rahā hai yahāñ apne ġham se
dard-e-ġham kī ye davā duuñ to davā duuñ kis ko
kaun lā.egā mirī chiTThiyāñ ḳhushiyoñ vaalī
apne ghar kā maiñ pata duuñ to pata duuñ kis ko
ġham meñ Duubā huā rahtā huuñ maiñ ab har lamha
'mīt' ye jaam pilā duuñ to pilā duuñ kis ko