Amit Sharma Meet

nazar bhar ke yun jo mujhe dekhta hai

Amit Sharma Meet

Bareilly, Uttar pradesh, India

1989
nazar bhar ke yuuñ jo mujhe dekhtā hai
batā bhī de mujh ko ki kyā sochtā hai
mohabbat nahīñ jaise kyā kar liyā ho
zamāna mujhe is qadar Toktā hai
december kī sardī hai us ke hī jaisī
zarā sā jo chhū le badan kāñptā hai
lagāyā hai dil bhī to patthar se maiñ ne
mirī zindagī kī yahī ik ḳhatā hai
jise dekh ke ġham bhī rasta badal de
vo chehra na jaane kahāñ lāpata hai
koī baat dil meñ yaqīnan hī hai jo
vo milte hue ġhaur se dekhtā hai
usī kī galī kā koī ek laḌkā
mohabbat kā mujh se hunar pūchhtā hai
na DhūñDho kahīñ bhī milūñgā yahīñ pe
ye ujḌī havelī hī merā pata hai
koī farq paḌtā nahīñ 'mīt' ko ab
jahāñ us ke baare meñ kyā sochtā hai
Top Urdushayar.com