tujh ko ma.alūm nahīñ kyā hai tirī yādoñ se
ek anjān sā rishta hai tirī yādoñ se
raat bechain sī sardī meñ ThiThurtī hai bahut
din bhī har roz sulagtā hai tirī yādoñ se
hijr ke ġham ne mujhe maar diyā thā to kyā
mar ke jiinā bhī to sīkhā hai tirī yādoñ se
aaj phir se jo huā qaid to ye sochūñ huuñ
kal hī sochā thā ki bachnā hai tirī yādoñ se
aise shāmil thā maiñ tujh meñ ki baḌī mushkil se
maiñ ne ab ḳhud ko nikālā hai tirī yādoñ se
kyā batā.eñ ki yahāñ kaise guzārī ham ne
apnī har saañs ko sīñchā hai tirī yādoñ se
'mīt' yādoñ ne bhī kitnā hai satāyā mujh ko
mirā takiya baḌā bhīgā hai tirī yādoñ se