yuuñ be-dam haiñ sāñseñ ghuTan kuchh nahīñ hai
kisī dard kī ab chubhan kuchh nahīñ hai
khilaune haiñ miTTī ke ham sab yahāñ par
haqīqat yahī hai badan kuchh nahīñ hai
ye maanā ki paikar bahut kuchh hai lekin
binā ruuh ye pairahan kuchh nahīñ hai
lagī aag ḳhvāboñ meñ itnī ki samjho
ye āñkhoñ kī mere jalan kuchh nahīñ hai
maiñ ḳhud mustaqil huuñ safar meñ so mujh ko
ye lagne lagā hai thakan kuchh nahīñ hai
binā saath tere sabhī kuchh hai suunā
ye duniyā jahāñ anjuman kuchh nahīñ hai
numā.ish hai sab 'mīt' mere ġhamoñ kī
ġhazal kuchh nahīñ hai suḳhan kuchh nahīñ hai