ġharaz paḌne pe us se māñgtā hai
ḳhudā hotā hai ya.anī māntā hai
ka.ī din se sharārat hī nahīñ kī
mire andar kā bachcha lāpata hai
bure māhaul se guzrā hai ye dil
mohabbat lafz se hī kāñptā hai
ye kachchī umr ke āshiq ko dekho
zarā rūThe kalā.ī kāTtā hai
abhī manzil dikhā.ī bhī nahīñ dī
abhī se hī tū itnā hāñptā hai
gunāhoñ kī sazā sab dūsroñ ko
garebāñ kaun apnā jhāñktā hai
ajab kārīgarī hai 'mīt' us kī
badan ko ruuh pe vo Tāñktā hai