ai ḳhudā jism meñ tū ne ye banāyā kyā hai
dil to ye hai hī nahīñ phir ye dhaḌaktā kyā hai
ishq kī shāḳh pe aa.egā chalā jaatā hai
dil ke panchhī kā bhalā Thor-Thikāna kyā hai
har nasha kar ke yahāñ dekh chukā huuñ yāroñ
bhuul jaane kā use aur tarīqa kyā hai
terī yādoñ meñ bahā.e haiñ jo aañsū itne
aañkh bhī pūchh rahī hai ki bachāyā kyā hai
yuuñ mulāqāt kā ye daur banā.e rakhiye
maut kab saath nibhā jaa.e bharosa kyā hai
hijr ke ba.ad ye socho ki kahāñ jāoge
ham to mar jā.eñge vaise bhī hamārā kyā hai
'mīt' ḳhvāboñ kī ḳhumārī se nikalne ke baad
us se ik baar to pūchho ki batātā kyā hai