mujh meñ hai kuchh dard bachā so zinda huuñ
chāragar ne bol diyā so zinda huuñ
maiñ bas marne hī vaalā thā phir us ne
hoñToñ par ik lams rakhā so zinda huuñ
mujh ko ek faqīr ne sikke ke badle
dī hogī bharpūr duā so zinda huuñ
sochā thā ab maut sī niiñd maiñ so.ūñgā
ḳhvāb meñ kuchh nāyāb dikhā so zinda huuñ
jiinā vo bhī hosh meñ rah ke mushkil thā
kartā huuñ ab roz nasha so zinda huuñ
us ne bolā yaad mujhe tum mat karnā
maiñ ne bhī phir maan liyā so zinda huuñ
ḳhvāb meñ us se roz milā kartā thā 'mīt'
lekin sach meñ nahīñ milā so zinda huuñ