hai ġhalat-fahmī havā kī us se Dar jaatā huuñ maiñ
hausla ban kar charāġhoñ meñ utar jaatā huuñ maiñ
niiñd kī āġhosh meñ thak kar girūñ maiñ jab kabhī
ḳhvāb jī uThte haiñ mere aur mar jaatā huuñ maiñ
ghar makīnoñ se banā kartā hai patthar se nahīñ
bas isī ummīd par har roz ghar jaatā huuñ maiñ
maiñ ne tujh se kyā kabhī pūchhā kidhar jaatī hai tū
ai shab-e-āvāra tujh ko kyā kidhar jaatā huuñ maiñ
mere jaane par na ho ghar kī udāsī yuuñ malūl
tū agar ghabrā ga.ī hai to Thahar jaatā huuñ maiñ