nigāh-e-yār se hotā hai vo ḳhumār mujhe
ki rut ḳhizāñ kī bhī lagne lage bahār mujhe
fasīl-e-ishq pe rakkhā huā charāġh huuñ maiñ
havā-e-hijr kā rahtā hai intizār mujhe
judā.iyāñ haiñ muqaddar to phir gale kaise
likhe hue pe tujhe hai nā iḳhtiyār mujhe
faqat zabāñ se nā kah mujh ko zindagī apnī
maiñ zindagī huuñ tū achchhī tarah guzār mujhe
maiñ aa.ina thā kabhī ab to sirf shīsha huuñ
ye log dekhte rahte haiñ mere paar mujhe