Roohi Kanjahi

is shola-KHu ki tarah bigaDta nahin koi

Roohi Kanjahi

1936
is shola-ḳhū kī tarah bigaḌtā nahīñ koī
tezī se itnī aag pakaḌtā nahīñ koī
vo chehra to chaman hai magar sāneha ye hai
us shāḳh-e-lab se phuul hī jhaḌtā nahīñ koī
ḳhud ko baḌhā-chaḌhā ke batāte haiñ yaar log
hālāñki is se farq to paḌtā nahīñ koī
logoñ kā kyā hai aaj mile kal bichhaḌ ga.e
ġham do ghaḌī bhī mujh se bichhaḌtā nahīñ koī
majbūri-e-hayāt hai varna zamīn par
ḳhush ho ke eḌiyāñ to ragaḌtā nahīñ koī
jis tarah yaad chhoḌ gayā mere dil meñ tū
is umdagī se la.al bhī juḌtā nahīñ koī
kahte haiñ log dekh ke is haal meñ mujhe
apne ḳhilāf jañg to laḌtā nahīñ koī
'rūhī' tujhe bhī laag rahī hai zamāne se
be-vaj.h to kisī se bigaḌtā nahīñ koī
Top Urdushayar.com