ab to yuuñ lab pe mire harf-e-sadāqat aa.e
nā-gahāñ shahr pe jaise koī aafat aa.e
maslahat ho ga.ī mamnuā shajar kī sūrat
laakh rokūñ magar us par hī tabī.at aa.e
daḳhl ḳhushiyoñ kā mirī ziist meñ kaise ho ki jab
terā ġham bhī ġham-e-daurāñ kī badaulat aa.e
jis pe maiñ chhāp sakūñ sikka-e-ḳhud-muḳhtārī
zindagī meñ koī aisī bhī to saa.at aa.e
raat bhar dhotā huuñ tāroñ kī nadī meñ āñkheñ
tab kahīñ jā ke nazar sub.h kī sūrat aa.e
barf hālāt kī ban jaa.e na poshāk-e-hayāt
itnī to terī tamannā meñ harārat aa.e
vus.at-e-lamha pe rakhtā huuñ nigāheñ 'rūhī'
kyuuñ na tahrīr meñ fardā kī ibārat aa.e