Roohi Kanjahi

har talKH haqiqat ka izhaar bhi karna hai

Roohi Kanjahi

1936
har talḳh haqīqat kā iz.hār bhī karnā hai
duniyā meñ mohabbat kā parchār bhī karnā hai
be-ḳhvābī-e-paiham se bezār bhī karnā hai
bastī ko kisī sūrat bedār bhī karnā hai
dushman ke nishāne par kab tak yūñhī baiTheñge
ḳhud ko bhī bachānā hai aur vaar bhī karnā hai
shaffāf bhī rakhnā hai gulshan kī fazāoñ ko
har barg-e-gul-e-tar ko talvār bhī karnā hai
kāñToñ se ulajhne kī ḳhvāhish bhī nahīñ rakhte
phūloñ se mohabbat kā iz.hār bhī karnā hai
is jurm kī nauiyyat ma.alūm nahīñ kyā hai
inkār bhī karnā hai iqrār bhī karnā hai
hone bhī nahīñ denā bohrān koī paidā
moqif pe hameñ apne isrār bhī karnā hai
tai lamhoñ meñ kar Dāleñ sadiyoñ kā safar lekin
is raah ko ai 'rūhī' hamvār bhī karnā hai
Top Urdushayar.com