Roohi Kanjahi

munh-zor aarzuon ki be-mehriyan na puchh

Roohi Kanjahi

1936
muñh-zor ārzūoñ kī be-mehriyāñ na pūchh
begāna ho rahī haiñ ye lā kar kahāñ na pūchh
fehrist muhsinoñ kī nihāyat tavīl hai
mujh se mirī tabāhiyoñ kī dāstāñ na pūchh
mujh ko panāh dī na tire ġham ne bhī kabhī
maiñ de rahā huuñ kitne ġhamoñ ko amaañ na pūchh
har zaḳhm chand zaḳhmoñ kī kartā hai parvarish
kaise sadā-bahār hai ye gulsitāñ na pūchh
dasht-e-vafā kī vus.atoñ ko pā sakā hai kaun
gum kis qadar hue haiñ yahāñ kārvāñ na pūchh
vābasta moḌ moḌ se haiñ kitne hādsāt
ye qatl-gāh hai ki dayār-e-butāñ na pūchh
Top Urdushayar.com