Roohi Kanjahi

yaad aate ho kis saliqe se

Roohi Kanjahi

1936
yaad aate ho kis salīqe se
jaise bārish ho vaqfe vaqfe se
yaad koī rahī ho vābasta
jaise har rut ke ḳhaas lamhe se
jaise ye bhī ho husn kā andāz
baat karnā magar taqāze se
mausam-e-gul ko koī batlā do
dil bhī khiltā hai phuul khilne se
raat kā apnā husn hotā hai
raat ko dekh din ke shīshe se
mere siine meñ rakh gayā har dard
merā hamdard kis qarīne se
ik shahādat hai raah meñ marnā
maut hai lauT jaanā raste se
lutf ūñchī uḌaan meñ kyā hai
pūchh lenā kisī parinde se
har muḳhālif hai vājib-ul-qatl aaj
tere islām ke havāle se
kār-farmā hai kyā pas-e-alfāz
kitnā vāzeh hai tere lahje se
kaun sī baat ho ga.ī aisī
yaar uThne lage haiñ chupke se
dekh raftār-e-zindagī 'rūhī'
ruk ga.ī gaaḌī ek jhaTke se
Top Urdushayar.com