Roohi Kanjahi

chain ghar mein na kabhi tere nagar mein paun

Roohi Kanjahi

1936
chain ghar meñ na kabhī tere nagar meñ pā.ūñ
ḳhud ko har lamha maiñ ik lambe safar meñ pā.ūñ
koī āvāz na saaya na havā meñ halchal
mo'tariz soch meñ kyā baiTh ke ghar meñ pā.ūñ
tū kabhī phuul kabhī chāñdnī thā mere liye
ab tujhe pairhan-e-barq-o-sharar meñ pā.ūñ
maiñ kahīñ jism kahīñ aur mirī ruuh kahīñ
ḳhud ko bikhrā huā har rāhguzar meñ pā.ūñ
mujh se har lamha koī jurm nayā hotā hai
ik na ik hādisa har taaza ḳhabar meñ pā.ūñ
maiñ gavāhī pe to tayyār huuñ ḳhud apne ḳhilāf
vaq.at-e-adl jo munsif kī nazar meñ pā.ūñ
Top Urdushayar.com