Roohi Kanjahi

ye kis hasin ne logon ko rok rakkha hai

Roohi Kanjahi

1936
ye kis hasīn ne logoñ ko rok rakkhā hai
tamām shahr ke rastoñ ko rok rakkhā hai
nikal paḌeñ na kahīñ paane apnī ta.abīreñ
isī liye sabhī ḳhvāboñ ko rok rakkhā hai
vo kah rahe haiñ kaho dil kī baat baat magar
na jaane kyuuñ ka.ī bātoñ ko rok rakkhā hai
dalīleñ dene ko de sakte haiñ hazār magar
sabhī havāloñ javāzoñ ko rok rakkhā hai
abhī hayāt ke goshe chhupe hue haiñ bahut
kisī ne kyuuñ sabhī rañgoñ ko rok rakkhā hai
na apne-āp meñ ho jaa.e ġharq dariyā bhī
zamīñ ne kaise kināroñ ko rok rakkhā hai
na raaz faash kabhī hoñ zamīn vāloñ ke
falak ne chāñd sitāroñ ko rok rakkhā hai
tamām log hī pāgal na ho ke rah jaa.eñ
numā.ishoñ se hasīnoñ ko rok rakkhā hai
tamām shahr ko raushan na hone deñge kabhī
hamāre sīnoñ kī aagoñ ko rok rakkhā hai
diye bujhātī bhī haiñ to jalātī bhī haiñ yahī
ye kis ne tund havāoñ ko rok rakkhā hai
na kaam karne ke karte na karne dete haiñ
hamāre ḳhvāsoñ ne aamoñ ko rok rakkhā hai
hamārī rāhnumā.ī ko raste kaafī the
pa zulmatoñ ne bhī rastoñ ko rok rakkhā hai
kisī kisī ko hai haq zinda rahne kā hāsil
dukhoñ ne logoñ kī sāñsoñ ko rok rakkhā hai
bhale zamāne kī ummīd par abhī 'rūhī'
bahut zarūrī bhī kāmoñ ko rok rakkhā hai
Top Urdushayar.com