Roohi Kanjahi

kisi bhi kaam ka mera hunar nahin na sahi

Roohi Kanjahi

1936
kisī bhī kaam kā merā hunar nahīñ na sahī
havā-e-dahr muāfiq agar nahīñ na sahī
kuaañ hai aur sabhī nāqidān-e-sher-o-adab
mire kalām pe un kī nazar nahīñ na sahī
ye terī bazm hai yaañ terā sikka chaltā hai
koī bhī baat mirī mo'tabar nahīñ na sahī
yahī bahut hai ki kuchh log sochne to lage
koī bhī merā agar ham nazar nahīñ na sahī
havā kā kyā hai havā ruḳh badaltī rahtī hai
tirī nigāh agar aaj idhar nahīñ na sahī
diloñ se uThne lagī haiñ ajab ajab lahreñ
kisī bhī aañkh meñ koī ḳhabar nahīñ na sahī
ilaaj meñ to na maiñ koī kasar chhoḌūñgā
kisī davā meñ bhī koī asar nahīñ na sahī
shajar lagā.e haiñ maiñ ne ye kam nahīñ e.azāz
mire nasīb meñ 'rūhī' samar nahīñ na sahī
Top Urdushayar.com