Roohi Kanjahi

munsif-e-waqt se begana guzarna hoga

Roohi Kanjahi

1936
munsif-e-vaqt se begāna guzarnā hogā
faisla apnā hameñ aap hī karnā hogā
zaḳhm-e-ehsās kabhī chain na lene degā
sar-e-maidān-e-tamannā hameñ marnā hogā
tujhe chhū kar bhī tujhe pā na sakeñge to hameñ
sūrat-e-dard tire dil meñ utarnā hogā
jaane le aa.ī kahāñ tezi-e-raftār hameñ
ki Thahar jaa.eñ to sadiyoñ kā Thaharnā hogā
asr-e-hāzir meñ hai jiinā hī jihād-e-akbar
jis kī ḳhātir hameñ har shai se guzarnā hogā
hashr se kam na kisī din ke jhamele hoñge
ik qayāmat hameñ har shab kā guzarnā hogā
ro.eñ kyā Dūbte sūraj ke liye ham 'rūhī'
ki na.ī shaan se kal us ko ubharnā hogā
Top Urdushayar.com