Roohi Kanjahi

hazar rang jalal-o-jamal ke dekhe

Roohi Kanjahi

1936
hazār rañg jalāl-o-jamāl ke dekhe
vo ma.arke tire husn-e-ḳhayāl ke dekhe
samajh meñ aane lagā maqsad-e-hayāt-o-mamāt
vo zāviye tire hijr o visāl ke dekhe
har ek ġham hai tar-o-tāza pahle din kī tarah
amānateñ koī yuuñ bhī sambhāl ke dekhe
fazā na bujhne lage is ḳhayāl se akasr
dil o nigāh ke raste ujaal ke dekhe
nagar bhī aur khañDar bhī nazar meñ rahte haiñ
ajiib daur urūj-o-zavāl ke dekhe
ki rashk aane lagā apnī be-kamālī par
kamāl aise bhī ahl-e-kamāl ke dekhe
na chashm ishāre se vāqif na lab kā harf se rabt
kuchh aise silsile bhī qīl-o-qāl ke dekhe
zamīñ zamīñ na rahī aur falak falak na rahā
kuchh aise marhale bhī arz-e-hāl ke dekhe
koī sadī bhī hai pal aur koī pal bhī sadī
kuchh aise fāsle bhī māh-o-sāl ke dekhe
huī zamīn kabhī raakh to kabhī ġharqāb
kuchh aise hausle bhī barshgāl ke dekhe
ajiib shart hai in manzaroñ kī ai 'rūhī'
ki apnī āñkheñ koī ḳhud nikāl ke dekhe
Top Urdushayar.com