yuuñ aaj apne-āp se uljhā huā huuñ maiñ
jaise ki ḳhud nahīñ huuñ koī dūsrā huuñ maiñ
zehn aur dil meñ chheḌ gayā koī sard jañg
ik sail-e-kashmakash ke muqābil khaḌā huuñ maiñ
aa jaa.e sāmne koī me.aar to tirā
ye soch kar nigāh se akasr girā huuñ maiñ
ḳhud ko to kho ke tujh ko nahīñ pā sakā magar
khoyā tujhe to jaane kise pā gayā huuñ maiñ
yuuñ to huuñ ek lafz hī maiñ bhī luġhāt kā
mafhūm ke lihāz se sab se judā huuñ maiñ