tujh pe har haal meñ marnā chāhūñ
maiñ to ye kaam hī karnā chāhūñ
hāsil-e-zīst hai jurm-e-ulfat
mar ke bhī maiñ na mukarnā chāhūñ
apne uslūb meñ chāhūñ jiinā
apne andāz meñ marnā chāhūñ
mutavajjah kare koī to use
misl-e-gul maiñ bhī nikharnā chāhūñ
kitnā mahdūd huā jaatā huuñ
maiñ ki har had se guzarnā chāhūñ
ek jugnū huuñ magar dekh andāz
sub.h kī tarah bikharnā chāhūñ
sūrat-e-naġhma-e-jāñ ai 'rūhī'
maiñ tire dil meñ utarnā chāhūñ