Roohi Kanjahi

phir koi hadisa hua hi nahin

Roohi Kanjahi

1936
phir koī hādisa huā hī nahīñ
koī un kī tarah milā hī nahīñ
ho chukī pattharoñ kī bārish tak
zaḳhm-e-ehsās jāgtā hī nahīñ
sar se paanī guzar chukā hai magar
dil kisī taur Dūbtā hī nahīñ
tai hue marhale ka.ī lekin
fāsla to koī miTā hī nahīñ
un ko kyā kyā gile rahe ham se
ham ko jin se koī gila hī nahīñ
aas ne aa ke dam kahāñ toḌā
ab ke 'rūhī' pata chalā hī nahīñ
Top Urdushayar.com