Syed Khizr Maseeha

ai jazba-e-dil teri tasir nazar aai

Syed Khizr Maseeha

ai jazba-e-dil terī tāsīr nazar aa.ī
bantī huī phir apnī taqdīr nazar aa.ī
āzād fazāoñ meñ āzād chaman hogā
kyā ḳhvāb the kyā un kī ta.abīr nazar aa.ī
kyā jaane zamāne ne tasvīr meñ kyā dekhā
mujh ko to musavvir kī tasvīr nazar aa.ī
ham un se jafāoñ kā jī bhar ke gila karte
lekin ye mohabbat kī tahqīr nazar aa.ī
aa.ī thī ajal lekin kuchh is ko takalluf thā
jab aap ke aane meñ tāḳhīr nazar aa.ī
jab chāragaroñ ko bhī yaad aa.ī masīhā kī
muñh taktī huī un ko tadbīr nazar aa.ī
Top Urdushayar.com