Sabir Dehlavi

dil-e-tabah ho KHandan nahin to kuchh bhi nahin

Sabir Dehlavi

dil-e-tabāh ho ḳhandāñ nahīñ to kuchh bhī nahīñ
ḳhizāñ meñ rañg-e-bahārāñ nahīñ to kuchh bhī nahīñ
vo dil jo nām-e-mohabbat pe muskurātā hai
harīf-e-gardish-e-daurāñ nahīñ to kuchh bhī nahīñ
ye karb-o-āh kī duniyā ajiib duniyā hai
agar hayāt ġhazal-ḳhvāñ nahīñ to kuchh bhī nahīñ
jahāñ kī ḳhaak jo chhāne koī to kyā hāsil
tavāf-e-kūcha-e-jānāñ nahīñ to kuchh bhī nahīñ
zamāna laakh taraqqī kiyā kare lekin
diloñ meñ azmat-e-insāñ nahīñ to kuchh bhī nahīñ
Top Urdushayar.com