ishq kī barbādiyoñ kā ik yahī hāsil sahī
tū nahīñ apnā to terā ġham sharīk-e-dil sahī
zindagī ko zindagī kī kuchh ḳhushī hāsil sahī
dard-e-mahrūmī sahī yā soz-e-dard-e-dil sahī
tū agar mumkin nahīñ to ġham bhī terā kam nahīñ
ek shai hāsil sahī aur ek be-hāsil sahī
sāmne un ke magar phir bhī nikal aate haiñ ashk
kitne hī pardoñ meñ pinhāñ rāz-e-soz-e-dil sahī
ḳhair ho yārab mire azm-o-yaqīñ kī ḳhair ho
laakh ehsās-e-fareb-e-dūrī-e-manzil sahī
justujū ne dost āḳhir justujū-e-dost hai
rahrav-e-rāh-e-talab gum-karda-e-manzil sahī
us kī ek ik aan par 'sābir' ke jān-o-dil nisār
istilāh-e-ām meñ mash.hūr vo qātil sahī