mumkin nahīñ ki ishq meñ ġham se mafar mile
mar jā.ūñ maiñ qarār kī sūrat agar mile
kyā kyā na zindagī meñ fareb-e-nazar mile
rahzan the asl meñ jo hameñ rāhbar mile
le kar tumhārā naam jahāñ se guzar gayā
vo ek shaḳhs jis se na tum umr bhar mile
dair-o-haram to sajdoñ kī āmājgāh haiñ
us kā nasīb jis ko tirā sañg-e-dar mile
ummīd-o-yās-o-hasrat-o-armān-o-ārzū
kyā kyā na rāh-e-ġham meñ mujhe ham-safar mile
ho jaa.e un ko apne parā.e meñ imtiyāz
yārab unheñ bhī chashm-e-haqīqat-nigar mile
dil kā magar javāb nahīñ rāh-e-ishq meñ
milne ko yuuñ hazār mujhe rāhbar mile
apnā kise banā.eñ kareñ kis kā e'tibār
naale bhī un ke halqa-ba-gosh-e-asar mile
nāseh ihānat-e-ġham-e-jānāñ nahīñ qubūl
luuñ jaan de ke mujh ko mohabbat agar mile
pahlī nazar meñ mujh ko to apnā banā liyā
ya.anī kuchh is adā se janāb-e-'sahar' mile
'sābir' junūn-e-shauq ne āsāñ banā diye
raste meñ jo maqām mujhe pur-ḳhatar mile