Sabir Dehlavi

junun-e-shauq ko diwana-pan kahna hi paDta hai

Sabir Dehlavi

junūn-e-shauq ko dīvāna-pan kahnā hī paḌtā hai
yahāñ to rāhbar ko rāhzan kahnā hī paḌtā hai
tasavvur ko tire jalva-fagan kahnā hī paḌtā hai
hameñ tanhā.ī ko bhī anjuman kahnā hī paḌtā hai
ye majbūrī ye māyūsī ye pābandī are tauba
musībat meñ qafas ko bhī chaman kahnā hī paḌtā hai
kuchh is andāz ke mujh se mujhe āzār pahuñche haiñ
har ik se qissa-e-rañj-o-mehan kahnā hī paḌtā hai
miTāne meñ mire koī kamī tū ne na kī lekin
tujhe is par bhī rūh-e-jān-o-tan kahnā hī paḌtā hai
jidhar dekhā hazāroñ zindagī se haath dho baiThe
tire abrū ko teġh-e-saf-shikan kahnā hī paḌtā hai
ma.āl-e-bāryābī kyā batā.ūñ muḳhtasar ye hai
ki shām-e-ġham ko bhī sub.h-e-vatan kahnā hī paḌtā hai
Top Urdushayar.com