mire jazbāt-e-rañgīñ kī farāvānī nahīñ jaatī
ki āñkhoñ se tire jalve kī tābānī nahīñ jaatī
faroġh-e-husn hai yā merī nazroñ kī ye ḳhāmī hai
ba-har-sūrat tirī tasvīr pahchānī nahīñ jaatī
mohabbat aap kī dil se bhulā duuñ kis tarah kyuuñ kar
ba-mushkil shai jo aa.ī ho ba-āsānī nahīñ jaatī
kahāñ tū khīñch laayā ai mazāq-e-āshiqī mujh ko
jahāñ mujh se mirī tasvīr pahchānī nahīñ jaatī
mujhe tark-e-ta.alluq par na kar majbūr ai nāseh
ḳhilāf-e-aql koī baat ho maanī nahīñ jaatī
tumhāre jaur-e-behad ne ye baḳhshā hai sharaf mujh ko
shikast-e-dil kī bhī āvāz pahchānī nahīñ jaatī
koī 'sābir' se dīvāne ko samjhā.e bhalā kyuuñ kar
parastār-e-junūñ kī chāk-dāmānī nahīñ jaatī