Rumana Rumi

wafa ki fasl phir bone chali hun

Rumana Rumi

vafā kī fasl phir bone chalī huuñ
maiñ kyā pā.ūñgī bas khone chalī huuñ
junūñ kī had se bhī aage qadam hai
na jaane aur kyā hone chalī huuñ
ye mumkin to nazar aatā nahīñ hai
anā ko apnī maiñ dhone chalī huuñ
samundar aa gayā mere muqābil
jab us ne dekhā maiñ rone chalī huuñ
yahī nekī mujhe zinda rakhegī
ki bojh auroñ kā maiñ Dhone chalī huuñ
rahī huuñ muztarib ḳhud ko bhī pā kar
phir apne aap ko khone chalī huuñ
utar aa.ī hai yaad āñkhoñ meñ terī
maiñ tere vāste sone chalī huuñ
bahut hai bārish-e-ālām 'rūmī'
hifāzat ko kisī kone chalī huuñ
Top Urdushayar.com