Rumana Rumi

aao na mujh mein utar jao ghazal hone tak

Rumana Rumi

aao nā mujh meñ utar jaao ġhazal hone tak
tum zarā aur nikhar jaao ġhazal hone tak
merī ḳhātir hī Thahar jaao ġhazal hone tak
aarzū hai ki na ghar jaao ġhazal hone tak
tum agar chāho to har sher shagufta ho jaa.e
bas mire dil meñ utar jaao ġhazal hone tak
chāñd ban kar mirī shohrat meñ ujālā kar do
raushnī ban ke bikhar jaao ġhazal hone tak
merī jānib se ijāzat hai chale jaao magar
dil ba-zid hai to Thahar jaao ġhazal hone tak
merī āñkhoñ se mire dil meñ pahuñch kar tum bhī
dil kī dhaḌkan meñ utar jaao ġhazal hone tak
kaash sab rañg ke huuñ aaj mire sab ash.ār
rañg har lafz meñ bhar jaao ġhazal hone tak
mere fan se tumheñ be-laus mohabbat hai agar
merī rag rag meñ utar jaao ġhazal hone tak
sher kahne kā salīqa bhī sikhā do mujh ko
aaj ye kaam bhī kar jaao ġhazal hone tak
shā.irī meñ jo hai rutbe kī tamannā 'rūmī'
fikr kī tah meñ utar jaao ġhazal hone tak
Top Urdushayar.com