kyā miTā doge naam phūloñ kā
na karo qatl-e-ām phūloñ kā
rañg-o-bū ne bhī saath chhoḌ diyā
rafta rafta tamām phūloñ kā
gulistāñ ko faroġh hogā magar
shart hai ehtirām phūloñ kā
ik na ik din hisāb lenā hai
bāġhbāñ se tamām phūloñ kā
mausam-e-gul hai ye ḳhizāñ to nahīñ
kyuuñ hai barham nizām phūloñ kā
ek do kā mo.āmla to nahīñ
mas.ala hai tamām phūloñ kā
bijliyāñ le rahī haiñ gin gin kar
ġhāliban intiqām phūloñ kā
ḳhūn-e-nāhaq hai ye are tauba
sub.h ġhunchoñ kā shaam phūloñ kā
yuuñ jo murjhā ga.e baġhair khile
ġham hai aise tamām phūloñ kā
hai sabhī kī nigāh meñ 'rūmī'
aaj karb tamām phūloñ kā