Rumana Rumi

KHirad ki fitna-samani jo pahle thi wo ab bhi hai

Rumana Rumi

ḳhirad kī fitna-sāmānī jo pahle thī vo ab bhī hai
mire dil kī pareshānī jo pahle thī vo ab bhī hai
uḌā diiñ dhajjiyāñ qānūn-e-tāzīrāt kī ham ne
jarā.em kī farāvānī jo pahle thī vo ab bhī hai
ġharīboñ ke gharoñ meñ ek bhī raunaq nahīñ baaqī
bahār-e-qasr-e-sultānī jo pahle thī vo ab bhī hai
nazar aatī haiñ har jānib na.ī ābādiyāñ lekin
diloñ kī ḳhāna-vīrānī jo pahle thī vo ab bhī hai
agarche ahl-e-zar ta.amīr ke va.ade to karte haiñ
magar taḳhrīb-sāmān.ī jo pahle thī vo ab bhī hai
tabassum hai laboñ par yā tabassum kā janāza hai
diloñ kī marsiya-ḳhvānī jo pahle thī vo ab bhī hai
ġharīboñ ke lahū se qumqume raushan haiñ mahloñ ke
havas kī zulm-sāmānī jo pahle thī vo ab bhī hai
kahīñ sūba-parastī hai kahīñ firqa-parastī hai
vahī tafrīq-e-insānī jo pahle thī vo ab bhī hai
ġhulāmī aaj bhī hai aur āqā.ī kī sūrat meñ
adā-e-jabr-e-sultānī jo pahle thī vo ab bhī hai
hai 'rūmī' ḳhush-navā be-shak ho koī bhī yahāñ unvāñ
adā shān-e-ġhazal-ḳhvānī jo pahle thī vo ab bhī hai
Top Urdushayar.com