justujū terī dard-e-sar Thahrī
le ke mujh ko ye dar-ba-dar Thahrī
tujh se mansūb jab talak maiñ rahī
merī hastī bhī mo'atabar Thahrī
ye mirī zindagī tumhāre baġhair
kitnī be-rañg-o-muḳhtasar Thahrī
mushkileñ mujh ko DhūñDne nikleñ
dam jo lene ko lamha bhar Thahrī
ye salīqa tujhī se aayā hai
baat karne meñ bā-hunar Thahrī
uf tirī bāñhoñ kā hisār-e-latīf
yuuñ lagā shaam meñ sahar Thahrī
jis pe mahv-e-safar rahā tū mudām
bas vahī merī rahguzar Thahrī
ek tum ho ki haath meñ patthar
aur maiñ ek shīshagar Thahrī
apne irfān-e-zāt se 'rūmī'
apne andar maiñ mo'atabar Thahrī