Rumana Rumi

zindagi aa tera arman badal kar dekhen

Rumana Rumi

zindagī aa tirā armān badal kar dekheñ
dil meñ hai jo mire mehmān badal kar dekheñ
sham-e-ummīd ke mānind milā hai koī
hijr kī dhuup kā unvān badal kar dekheñ
us ne baḳhshā hameñ e.azāz shanāsā.ī kā
kyuuñ na ham apnī hī pahchān badal kar dekheñ
merī āñkhoñ meñ na.e rañg ubhar aa.e haiñ
sā.īñ ghar kā sar-o-sāmān badal kar dekheñ
aql gul ḳhud ko hai samjhe hue jo ḳhāk-nashīñ
us ke dil kā ye kabhī maan badal kar dekheñ
dosh dete haiñ har ik baat pe hālāt ko jo
apne andar kā vo insān badal kar dekheñ
fan kī duniyā meñ na.ī sub.h kā sūraj bo kar
aao ham apnā gulistān badal kar dekheñ
ham ujālā haiñ ujāloñ se mohabbat hai hameñ
fann-e-taḳhlīq tirī shaan badal kar dekheñ
zehn kī jhiil meñ khil uTThā mohabbat kā kañval
dil meñ jo ġham kā hai tūfān badal kar dekheñ
'rūmī' puujā vo mukammal nahīñ hone detā
man ke andar hai jo bhagvān badal kar dekheñ
Top Urdushayar.com