Rumana Rumi

haft aflak se aage kahin kuchh ho to kahun

Rumana Rumi

haft aflāk se aage kahīñ kuchh ho to kahūñ
had-e-idrāk se aage kahīñ kuchh ho to kahūñ
maiñ ne jis zaat ko labbaik kahā hai us ke
jalva-e-pāk se aage kahīñ kuchh ho to kahūñ
jis pe paivand hī paivand nazar aate the
aisī poshāk se aage kahīñ kuchh ho to kahūñ
mujh se pūchhe koī insān kahāñ tak pahuñchā
azm-e-bebāk se aage kahīñ kuchh ho to kahūñ
haañ mirī ziist kā hāsil ġham-e-daurāñ to nahīñ
chashm-e-namnāk se aage kahīñ kuchh ho to kahūñ
jis taraf dekhiye vīrānī hī vīrānī hai
ḳhas-o-ḳhāshāk se aage kahīñ kuchh ho to kahūñ
har taraf ham-vatanoñ ḳhūn-ḳharābe ke sivā
chashm-e-saffāk se aage kahīñ kuchh ho to kahūñ
ālam-e-ḳhāk mirī zaat kā har zarra hai
ālam-e-ḳhāk se aage kahīñ kuchh ho to kahūñ
mere aflāk se aage to faqat huuñ maiñ hī
mere aflāk se aage kahīñ kuchh ho to kahūñ
jaañ kā hai apnī jagah ek tasavvur 'rūmī'
jasad-e-ḳhāk se aage kahīñ kuchh ho to kahūñ
Top Urdushayar.com